Aapke Liye Insurance Kyu Bahut Jaruri Hai2023

Bima yani insurance aapke liye bahut jaruri hai jo ki vyakti ka ak bahut mahtwpurn ang hota hai.yah aapke kisi bhi karan se huye nuksan ko bachane me bahut madad karta hai.aise me aapko jarur se insurance ko awashya kara lena chahiye.

What is insurance

Insurance ka mukhya arth hota hai ki bhavishya ke khatare se suraksha .yadi koi aap bima lete hai to aapko awashya roop se rakam ko bima company ko chukani padti hai aur yadi kisi bhi prakar ki arthik chati hota hai to yah nuksan ki bharpai ho pati hai.

Isi prakar se aap yadi kisi bhi prakar se mobile,laptop ,makan aadi ka bima karaya hai to uske kharab hone par aapko company ki taraf se bharpai ki jati hai aur muvabja ko pradan kiya jata hai.

Ham aapko bata dete hai ki bima company aur aapke bich me ak anubandh hota hai jiski rashi ko company apne anusar pradan karti hai.

What are types of insurance

Samany roop se bima 2 prakar ki hoti hai.

  1. Jivan Bima
  2. Sadharan Bima

Jivan Bima Kya Hota Hai?

Jivan bima me company pariwar ko bima pradan karta hai.yah bima pariwar ko muskil samay me prada kiya jata hai. Jisase pariwar ki arthik sahayata me bahut madad karta hai.isase pariwar ki arthik sthiti kuch sudhar jati hai.

Bima Policy Kitane Prakar Ki Hoti Hai

Yah bahut parakar ki hoti hai jise niche bataya gaya hai.

  • Term insurance plan
  • Moneyback insurence policy
  • Retayarment plan
  • Aajivan life insurence
  • Child insurence
  • Investment Plan

Sadharan Bima Kya Hota hai

Iske madhyam se aap ghar,fasal,swasthya bima aadi chijo ko cover kar sakte hai.jo niche bataya gaya hai.

  1. Ghar Bima-iske madhyam se company ghar ka bima karti hai.ak baar bima kara lene se ghar ko yadi kisi bhi prakar se nuksan hota hai to iski bharpai bima company dwara bhrpai kiya jata hai.agar ghar kisi bhi prakar se chatigrast hua ho,yah bhukamp,aakasiy bijali,baad aadi se ho sakta hai,ya kisi bhi prakar se chatigrast ho.
  2. Vahan Bima-bharat me har sal lakho durghtnaye hoti hai,isase aapke jivan aur vahan dono ko khatra hota hai.iske liye aapko bima lena jaruri hota hai,lekin sarkar ke niyam ke anusar bina insurance ke aap gaadi ko chalate hai to aapko chalan kat diya jata hai.jisase aapko bhari jurmana ka samana karna padta hai,traffic police ke niyam ka aapko palan karna hota hai.agar gadi ko kisi bhi prakar ki chot lag gai hai to bhi iska fayda pradan kiya jata hai.
  3. Health Insuranceaaj ke daur me health ka bima awashya kara lena chahiye.jisase yah aapko labh pahuchata hai,iski recovery company dwara kiya jata hai.
  4. Yatra Bima-yah safar ke dauran nuksan ko sahayata pradan karti hai.yadi aap apane desh se kisi bhi bahar ki des ke liye ghumane jate hai to kisi bhi prakar ki chot lagne par muwabja pradan kiya jata hai.
  5. Fasal Bima-Bharat ke aaj desh ko aajad hone ke bad  hamara desh krisi pradan desh mana jata hai,desh me kahi par ola ,kahi par shukha aur kahi par olavristhi hota hai,aise me kisan ki fasal puri tarah se barbad ho jati hai aur faslo ko muvabaja pradan kiya jata hai.isi ko dekhte huye sakar ne Fasal Bima Suraksha ko pradan kiya hai.jisase kisano ko arthik sahayata pradan kiya jata hai.

Solar Pannel Ka Insurance

Aaj se kuch samay pahle solar pannel ka insuance nahi ho pata tha ,lekin aaj ke samay me solar pannel ka bhi karobar bahut teji se badh raha hai,jisase pannel ke tutane ,phutane ki sambhawana bahut jyda hoti hai jisase liye aaj ke samay me inka insurence kiya jata hai.

Bima ke Labh Kya Hote Hai

Yah muskil halat me bachane me sahayata karta hai.iske jariye aap apane pariwar ya sansadhno ko vittiya suraksha pradan kiya jata hai,iske alwa yah tax se bachane me madad karta hai,aur yah loan ki suvidha ko bhi pradan karta hai.

Bima Kaise Karwaye

Aaj ke samay me bima karwana bahut aasan ho gaya hai,aap online madhyam se jakar official website par bhi bima karwa sakte hai.ya aap apane kisi najdiki agent ke pass jakar karwa sakte hai.

Niskarsh

Hame yakin hai ki yah lekh aapke liye bahut madadgar sabit hoga ki kaise aap apane liye kaise insurance ko karwa sakte hai.

Leave a Comment