Sabji Ka Vyapar Kaise Shuru Kare ? Vegetable Business Plan In Hindi

Vegetable Business Plan In Hindi :ese vyapar ya karobar ke roop me jana jata hai,yah niwesh ke roop me kiya jane wala business hai,agar ritel sabji ki baat kiya jaye to yah rehadi,patri ke roop me samil kiya jata hai.isliye jab koi sabji ki dukan kholana chahta hai to use hamesha sabse pahle sadak ke kinare kholane ka idea hi dimag me sabse pahle aata hai.

Sabji ka business pratidin chalane wala business hai yah roj khadya padarth ke roop me prayog kiya jata hai iska upyog log pratidin karte hai.aise me iska business karna bahut faydemand sabit ho sakta hai.aise jagah me sahar ho ya kasba ho vaha yah business bahut aasani se start kiya ja sakta hai,ise bahut adhik matara me rakhana sahi nahi hota hai yah roj chalane wala business hai bahut adhik doori tak transport ke madhyam se yah kharab ho sakta hai.isliye sthaniy mang ko dekhkar hi iska chunav kiya jana sahi hai,aaj ke es lekh me ham dekhenge ki kaise aap Vegetable Business In Hindi ke madhyam se iska Vyapar kaise Shuru kar sakte hai.

Vegetable Business In Hindi(sabji ka vyapar)

Vegetable Business ki Baat kiya jay to yah kewal futakar ke roop me sabji ko bechana hi samil nahi hai,balki thok ke roop me sabji bechana ,kisan se sabji ko kharidna aadi samil hai.yah manushyo ko swasth rakahne ke liye bahut hi matwpurn bhoomika nibhata hai,isliye pratidin iska sewan awashya karna chahiye.

Har ak prakar ke market me iski mang bahut adhik matra me rahti hai,isliye iska business ko karna bahut faydemand sabit ho sakta hai.

Vegetable Business ko kaise shuru kare

Jab bhi yah business start kare aapko yah jarur maloom hona chahiye ki isme kya kya kathinai aa sakti hai.

Jaisa ki hame maloom hai ki sag aur sabji ka jab bhi ham upyog karte hai,kuch samay baad yah galne sadne lagti hai.aise me paresani se bachane ke liye kya kya upay karna chahiye.agar aap sabji ka business start karna chate hai to jo hamne niche bataya hai uska palan kare.

  • Vegitable Business Idea ka Chunav jarur Kare

Jaisa ki hamne pahle hi bataya hai ki futakr ke madhyam se sabji ko bechana, thok bhav me sabji ko bechana kisan ke madhyam se sabji ko kharidkar bechana bahut sare madhyam sammlait hai.sabse pahle jo vyakti udhyam tay kar raha hai use yah jarur samjhna chahiye ki vah kaun sa sabji ko bechane ke madhyam ko tay kar raha hai.halanki udyami log adhik matra me sag sabji ka business ki jankari chahte hai to aapko pahle futkar roop me business shuru karna chahiye.

Sabse pahle futkar roop me business karne ka sabse bada fayda yah hai ki iske liye kisi bhi prakar ka koi panjikaran,ya licence ki aawskta nahi hoti hai.jisase aapko shurati daur me kisi bhi prakar se permission lene ki aawaskata nahi hoti hai.

  • Business Location ka Chunav kare

Agar aap ak sabji ka business ka chunav kar rahe to rehadi,par sabji ko bechana ak location ka chunav  jarur kare yah location bade sahar ,mandi,aadi ho sakte hai.agar aap vyapri hai to location ka chunav jarur kar le.

  • Bajat ka prawdhan kare

Agar aap sabji ka chota ya bada business kar rahe to ,aapke pass bajat ka prawdhan jarur karna chahiye.

  • Saplayer ke saath jarur deal kare

Aap bade bade mandiyo me jakar saplayer se jarur deal kare,jisase aap sabji ki supply kar sakte hai.

Vegitable Business Shuru Karane Me Aane Wala Kharcha Aur Kamai

Mai aapko yah batana chahta hu ki yah business 10000 rupye se shuru kar sakte hai,aur baad me yah lagat aap aur adhik kar sakte hai. Aur aap acchi kamai kar sakte hai.

Sabji ke Business ke kuch tips

  • Sabjiyo ki acchi pahchan hona bahut hi aawaskyak hai,kyoki yah jarur dekhe .
  • Aapko sabjiyo ko bechate samay kuch discount ki yojana jarur banani chahiye.
  • Shurati daur me bahut adhik matra me profit ko n nikale.

Leave a Comment